Rashtriya Yuva Divas ke avsar par Nibandh lekhan ki pratiyogita

national-youth-day-in-hindi-aba76266

 

Alibag: Bharat sarkar ke Yuva aur Khel mantralay ke antargat kam kar rahe Nehru Yuva Kendra ki taraf se zila-stariy nibandh lekhan pratiyogita ka aayojan kiya ja raha hai. Swami Vivekanand ji ke janam divas par Yuva din 12 Janvari ko manaya jata hai. Issi karan 12-19 Janvari Yuva saptah ke roop main manaya jata hai. Iss saal  ‘paani’ iss vishay par nibandh lekhan pratiyogita aayojit ki hai.  Iss main pahle, dusare aur teesare number paanewalon ko 1500, 1000 aur 500 rupyon ka inam aur Nehru Yuva Kendra, Alibag ki taraf se pramanpatra bhi dene ki ghoshana ki gayi hai.

Yah pratiyogita Yuva pratishthan Paandive aur Vatvruksh Samajik Sanstha, Ulave inki taraf se aayojit ki jayegi. Pratiyogita main Paani bachao, Jeevan bachao, Badhati Aabadi aur paani niyojan, Jalsanvardhan: Ek Jaroorat in vishayon par nibandh likhna hai. Adhik jankari ke liye 9664770614/987095505 iss number par sampark kare.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks