Anshan ke baad Murud ke tapariwalon ki madad ka aashvasan

Anshan khatm: Murud ke tapariwalon ki madad ka aashvasan

Aagardanda, Sept 18: Nisarg chakravat ke pidit tapariwalon ko abhi bhi koi madad nahi mili thi. Iss baat se naraj Padmdurg Vyavsayik Sanghtana ke adhyaksh Arvind Gaikar ji ne tahsildar ke karyalay ke samne Anshan shuru kiya tha. Virodhi paksh neta Mangesh Dandekar ki madhyasthata se madad ka aashvasan milte hi yah Anshan khatm ho gaya hai.  Zile ki guardian minister Aditi Tatkare ne madad ka aashvasan diya hai.

June main aaye Nisarg chakravat ke karan Murud beach ke 44 taparidharkon ka bahut nuksan ho gaya tha lekin prashasan se unko kisi bhi prakar ki madad nahi mili thi. Bahut baar mang karne ke baad bhi, kuchh n hota dekhar Shri Gaikar ne anshan shuru kar diya tha.

Guardian minister ne mukhymantri se charcha karke taparidharkon ko jald se jald madad deneka aashvasan diya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks