Bank of India ka ‘Digital Apnaye’ abhiyaan

bank-of-india-ee4045b2

Alibag, Aug 27: Corona mahamari ke chalte apne grahkon ki suvidha ke liye aur ghar baithe baithe aasani se banking karne ke liye Bank of India ne ‘Digital Apnaye’ upkram hath main liye hai.

Nai techonology ke sath banking bhi badal rahi hai. Usmain Covid-19 ka badhta failav rokhneke liye log ghar se kam kar rahe hai. Iss halat main banking bhi ghar se hi karana logon ki health ke liye sahi hai. Yahi baat dhyan main rakhakar Bank of India apni  5 hajar 58 shakhaon ko nayi 100 digital shakhaon se jodne jaa rahi hai. Bank of India apne grahkon ko mobile banking, internet banking, POs, Debit card aadi sevaonka labh uthane ki appeal kar rahi hai. Bank ke karmchariyon ko bhi ye nai suvidha jyada se jyada grahkon tak pohochane ka prayas karne ke liye kaha hai. Yah sari jankar bank ke pramukh A.K.Das ji ne dee hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks