Bhajan, Pravachan Kirtan ke liye manyata di jaye – Varkari sampraday ki mang

Untitled

Corona mahamari ke chalate hue sarkar ki taraf se sarvajanik karyakramo pe pabandi lagayi gayi hain. Corona ke samay main Varkari sampraday ne sarkar ko bahot sahkarya kiya hain, paidal vaari ki parampara bhi khandit ho gayee hain, anya karyakram bhi band hain. Ab to bazar, dukane chalu ho gayi hain par bhajan-pravachan ke karyakram band hain. Iske liye hame kuch niyam aur sharton ka palan kar jaise ki bhajan ke liye 8-10 logon ko, pravchan ke liye 20-25 logon ko lekar karyakram karne ki anumati di jaye aisi mang Sudhagad ke Varkari sampraday aur bhajan mandal ki taraf se Tahsildar ke paas ki gayee hain.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks