Pradhanmantri Phasal Beema yojana ki antim taikh 31 Jully tak hain lekin is suvidha ke liye banaya portal dhime gati se kam kar raha hain. Seva Kendra ke chalakon ko online form bharate samay 7/12 aur jamin ke kshtra ki jaanch karani padati hain, lekin ek arjee ke, ek 7/12 ke liye kam-se-kam 5 se 10 baar koshish karni pad rahi hain, jiski vajah se phasal bima ki arji ke liye jyada samay barbaad ho raha hain. Krushi vibhag se yojana ki jankari der se mili aur ab aakhri dino main kisan form bharane aa rahe hain to Portal ki dhimi gati se unko pareshani ho rahi hain.
Pradhanmantri Phasal Bima ka Portal dhimi gati se shuru.
