Murud ke logon ko koi sahara nahi hain kya?
Pranam,
Maine Alibaug main sarakari naukari karte samay 2005-2006 main Murud ke sabhi ilakon main kam kiya hain. Dedh saal vaha rahene ke karan vahake sthanikon se mil-jul ke raha hu.
Vahake log bahot hi acche swabhav ke aur pyare hain ye samajh aaya.
Aaj ye sab batane ki vajah hain 3 June ko Cyclone (Nisarga chakravat) ne ne Murud main machai hui bhari tabhee. Is chakrvat ka sabse bura asar Alibaug, Korlai, Murud aur Shrivardhan ke ilako main hua.
Aaj (20 June ko), yane 18 dino baad Murud main kya paristhiti hain ye jaan lijiye, iske liye, mere Murud main rehene vale vakeel mitra Shri. Datta Patil ke shabdo main varnan kar raha hu.
“Cyclone (Chakravat) ke bad sabhi jagaha kachara faila hua tha, bhari badbu aa rahi thi lekin parso ke din yani 15 dino ke bad sthanik logo ne khaskar muslim samaj ke yuvao ne kachara hatake saphsaphai ka kam kiya hain. Bijli vibhag kachuve ki gatee se kaam kar raha hain. Picchle 18 dino se Murud me bijali nahi hain. Generator kiraye par dene vale, logon se ek ghante ke liye 600 rupaye le rahe hain. Mobile charging karane ke liye 40 rupaye lete hain. Xerox ke 1 panne ke liye 8 rupaye, mombatti ka box jo 40 rupaye main milata tha vo 100 main becha ja raha hain. Sarkar ki taraf se 5000 rupayon ki madat ghoshit ki gayee hain par logon ke haath abhi 5 paise bhi nahi lage hain. Logon ke paas paise nahi hain, roj-marra ki aavshyaktao ko pura nahi kiya ja sakta aur aaj 18 dino baad har ghar ke liye 5 litre Kerosene dene wale hain.( Uska upyog kya hamare marane ke baad jalane ke liye karna hain yeh samajh nahi aa raha.)
Dekha jaye to Murud main haath par ginati ho sake itne hi majdoor hain, aise main sthanik yuvaon ko aavahan karake jaladi se kaam karane ki jarurat thi. Alibaug Revdanda main sthanik neta aage aaye unhone panchayat aur nagarpalika ke saath yojana banake gaon ke logon ko saath leke kuch hi dino main vaha bijli ka kaam karaya aur bijli vapas le aaye.
Hamare yaha hamare lokpratinidhi hamare nuksan ki ya logon ko hue pareshani ki jaankari lene ke liye ek baar bhi aaye kya? To hamain aise logon ko kyun chunke dena chahiye?
Koi kuch bhi bole par ek sacchai hame maanni padegi ki Alibaug, Roha main unke logon ke liye kaam karane wale neta hain aur sach baat yeh hain ki jinki pahonch upar tak hain aisa rajkiya neta hamare Murud main nahi hain. Bina yojana ke chalate hue sarkari karyalay sirf Murud main hi dekhane ko milenge. Murud ko sahara kaun aur kab dega ye sirf uparwala hi jaanta hain. Aisa hi chalata raha to Murud aise hi pichadata rahega aur Murud ko ek picchde gaon main badlane main samay nahi lagega.”
Corona aur lockdown ke chalate rojgar uplabdha nahi the. Usame Nisarga tuphaan aaya. In teeno sankaton ke ek saath aane se Murud main sthiti bahot katheen ho chuki hain. Lekin isase gambhir paristhiti hain aaju-baju main sthit Shigra, Vanade aur in jaise gaon ki. Aaj unko sahi mayane main madat ki jaruarat hain.
Toh ek insaan aur Murud premi hone ke karan main yeh vinati karata hu ki jitana ho sake utane jyada logon ko yeh message pahuchahiye taaki sambandhit aadhikariyon ke paas asali tathya jaake sarakar ki taraf se sab peediton ko jaldi-se-jaldi anivarya madat pahuchai jaye. (Gopalwat mai to aaj tak bijli nahi hai- 31/7/20)
मुरुडला कोणी वाली च नाहीका ?
नमस्कार
मी अलिबाग येथे सरकारी नोकरीत असताना २००५-२००६ साली मुरुड येथे सर्व परिसरात काम केले आहे. दीड वर्षे तेथे राहिल्यामुळे तेथील स्थानिक लोकांशी मिळुन मिसळून रहात होतो..
तेथील स्थानिक ग्रामस्थ सुस्वभावी आणि प्रेमळ आहेत हे जाणवले. आज हे सांगायचे कारण म्हणजे ३जून रोजी निसर्ग वादळाने मुरुडला दिलेला जबरदस्त तडाखा. या वादळाचा सर्वाधिक फटका अलिबाग, कोर्लई, मुरुड व
श्रीवर्धन भागाला बसला आहे.
आज (म्हणजे 20 जून ला), १८ दिवसांनी मुरुडची परिस्थिती काय आहे ती जाणुन घेऊया, म्हणून माझे मुरुड निवासी वकील मित्र श्री दत्ता पाटील यांच्याच शब्दात वर्णन करत आहे.
“चक्रीवादळातील कचरा सर्व बाजूला पसरला होता, दुर्गंधी सुटली होती पण परवा म्हणजे 15 दिवसांनी स्थानिक लोकांनी विशेषत:
मुस्लिम समाजातील तरुणांनी कचरा उचलून सफसफाईचे काम केले आहे.
एमएसईबी कासव गतीने काम करतेय. गेले १८ दिवस मुरुड मध्ये वीज पुरवठा नाही. जेनेरेटरवाले एका तासाला सहाशे रुपये घेतात. मोबाईल बॅटरी चार्जिंग करायला तासाला चाळीस रुपये घेतात. झेरॉक्स च्या एका कॉपीचे आठ रुपये, मेणबत्त्याचा पुडा जो एरवी ४० रुपयाला मिळायचा तो आता १०० रुपये. सरकारने ५००० रुपयांची मदत जाहीर केली आहे पण आजपर्यंत एकालाही ५ पैसे देखील मिळाले नाहीत. लोकांकडे पैसे नाहीत, दैनंदिन जीवनातील आवश्यक गरजा देखील भागवता येत नाहीत आणि आज १८ दिवसांनी घरामागे ५ लिटर रॉकेल देणार आहेत, (ते काय आमच्या मढ्यावर ओतायला का ?)
खरं तर मुरुड मध्ये हाताच्या बोटावर मोजण्या इतपत कामगार वर्ग ,अशा परिस्थितीत स्थानिक युवकांना आवाहन करून जलद गतीने कामे होणे गरजेचे होते. अलिबाग रेवदंडा या ठिकाणी लोकनेते पुढे होऊन नगरपालिका, ग्रामपंचायत मार्फत नियोजन करून जनता व गावकरी यांच्या मदतीने काही दिवसांत तेथे वीज आली.
आपल्या इथे लोकप्रतिनिधी लोकांची व नुकसानीची चौकशी करिता तरी एकदा तरी फिरकले का? का आपण यांना निवडून द्यायचे ?
कोणी कितीही बोलो पण एक सत्य सर्वाना मानावचं लागेल की अलिबाग,रोहा येथे त्यांच्या लोकांसाठी झटणारे जसे लोकनेते आहेत आणि महत्वाचे म्हणजे ज्यांची वरपर्यंत पोहोच आहे, असे राजकीय वलय असलेले नेते आपल्या मुरुड येथे नाहीत. नियोजन शून्य प्रशासकीय कार्यालये फक्त आपल्या मुरुड मध्येच पाहायला मिळतील.
मुरुडला वाली कधी आणि केंव्हा मिळेल ईश्वर जाणो. अशीच परीस्थिती राहिली तर मुरुड असच मागे राहणार आणि मुरुडच एक खेडेगाव व्हायला वेळ लागणार नाही.”
कोरोना व लॉक डाऊनमुळे लोकांना रोजगार उपलब्ध नव्हता. त्यात निसर्ग वादळाचे संकट. अशा तिहेरी संकटामुळे मुरुड मधील परिस्थिती बिकट आहे. पण त्यापेक्षा गंभीर परिस्थिती आजूबाजूच्या शिगरा, वाणदे ई. गावंखेड्यातील आहे. आज त्यांना खऱ्या मदतीची गरज आहे.
तेव्हा एक मराठी माणूस, एक मुरुड प्रेमी म्हणून नम्र विनंती की कृपया हा मेसेज जास्तीत जास्त लोकांपर्यंत पोहोचवा म्हणजे योग्य त्या अधिकाऱ्यापर्यंत
ही वस्तूस्थिती कानावर जाऊन सरकारतर्फे सर्वं पीडितांना लवकरात लवकर योग्य ती मदत होईल.
(रोहा तालुक्यातील गोपाळवाट या गावात आज पर्यंत वीजप्रवाह खंडितच आहे (३१/७/२०))