Chaul-Aagrav kharab raaste ke khilaf gaonwalon ka aandolan

Revdanda, Oct 17: Alibag taluka ke Chaul-Aagrav iss raaste ki halat itani kharab ho gayi hai ki yahan kisi bhi prakar ka vahan chalana mushkil ho gaya hai. Issi baat se naraj gramastha Shivsena ke sath raaste par utar aaye aur raaste ki turant marammat karne ki mang ke liye andolan kiya.

Iss 3 kilometer raaste ka 1 crore 46 lakh ka theva Suprabhat Infrazon naam ki company ko diya gaya tha. March main yah kam pura karna apekshit tha. Lekin lockdown ke wajah se kam pura nahi hua. Phir company ne 6 mahino ka samay manga tha. Ab wo bhi pura ho chukka hai. Lekin raaste ki halat din-b-din kharab ho rahi hai aur koi jimmedari lene ko tayyar nahi hai.

Log raaste par utar aane ke bad yahan ke bandhkam vibhag ne December tak kam pura karne ka aashwasan diya hai.

Iss vakt gaonwalon ke satha Zila parishad ke virodhi neta Surendra Mhatre, Chaul sarpanch Pratibha Pawar, upsarpanch Ajit Gurav, Ajit Misal, Rupali Mhatre, Atul Vartak, Rajendra Vartak, Ashok Naik, Shivsena ke karykarta shamil huye the. 

Chaul-Aagrav kharab raaste ke khilaf aandolan

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks