Gramsabha ko lekar Sambhram

Alibaug, Aug 10: Swatantra divas ko abhi kuchh hi din bache hai lekin har sal issi din par honewali gramsabha ko lekar logon main abhi bhi kafi sambharam hai. Rajy sarkar se mili suchnao main aapas main hi virodhabhas hai. To gramsekav spasht suchnaon ka itezar kar rahe hai.

Gaon main kiye kamon ka charcha, aage kiye jane wale kamo ki manjoori, vikas kamo main kiya kharch, baki jarooraten inn sab baton ko lekar gram sabha main charcha hoti hai. Saal main 4 gramsabha anivarya hoti hai, unmain se ek swatantra divas ko yane 15 August ko lena anivarya hota hai.

 

Iss saal corona mahamari ke chalte sabhi sarvajanik kamon ko kam karne ke aadesh hai. Aise main  5 August ko rajya sarkar ne baithak lene ke liye kaha tha, lekin 6 August ko phone, Whatsapp, email  dvara baithak main ki janewali charcha karne ke liye kaha hai. To yah saaf nahi hai ki 15 August ko gramsabha honi hai ya nahi. In aapas main virodhi suchnao se confusion badh gayi hai. Gramsevak spasht roop se suchna ke intezar main hai.  

Photo Credit: CCIDMYSORE, youtube channel

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks