Raigad jile me salana ausat ke 66 pratishat barish hui hain. Barish ke mausam ke shuruwat se abtak jile me 2103mm barish hui hain. Pichale 2 mahine ki barish ki kami, August ke pehale hafte me hui barish ne puri kar di hain. Dharan kshetro me bhi acchi barish hone ke karan jalsampada vibhag ke niyantran me aanewale 23 me se 18 baandh puri kshamata se bhare huye hain. Baki bandh ke pani ke sangrahan me bhi badhotari hui hain. Konkan me is saal monsoon deri se aaya, aur Nisarga tuphan ke baad barish ka jor kam ho gaya tha. June me ausatan 655mm barish hoti hain jo is saal 523mm hui hain, Jully me 1206mm hoti thi jo is baar 1008mm hui hain. Lekin is kami ko August ki pehale hafte ki barish ne lagbhag pura kar diya hain.