Murud: Yahan ke samundar main machhuvaron ko unke jaal main machhali se jyada jelly fish hi mil rahe hai. Badhti jelly fish ke karan machhuvaron ki parehani badh rahi hai.
Jelly fish machhali ke ande aur chhoti chhoti machhali ko kha jati hai. Iss liye jelly fish ki sankhya main badhotari ka sabse badha khatra machhali ko hota hai. Machhuvaron ke jaal main machhli ke sath sath badi matra main milnewali jelly fish ko hatana padta hai. Uske karan machhuvaron ke hathon ko sujan aur khujali ki samsya ka bhi samna karna pad raha hai.
Machhuvaron ki badhta ki samsyaon ki taraf dhyan dekar shasan ne koli bandhuon ke liye vishesh package dena chahiye aisi main mang Murud Sagarkanya Machhimar Society ke chairman aur Koli samaj ke adhyaksha Manohar Baile ji ne ki hai.