Murud: Yahan aanewale parytak Janjira fort aur samudri kinaron ka anand uthate hai, lekin uske muqable Phansad Abhayaranya main aanewale parytakon ki sankhya kam hai. Na sirf parytakon ke liye balki nisarg sanvardhan ke liye bhi Phansad abhayaranya ka vikas karana avshayak hai, iss baat ko dhyan main rakhakar iske vikas ke liye vishesh niyojan karne ki yojna guardian minister aur parytan rajyamantri Adhiti Tatkare ji karnewali hai.
Murud se 14 km ki doori par 54 square kilometer par faila hua Phansad abhyaranya nisargpremiyon ke liye aakrshan bindu hai. Yah abhyaranya vanspati-prani-pakshi-titaliya aur baki jaiv-vividhta se bharpoor hai. Lekin pichhle do salon main abhyaranya ko vikas nidhi nahi mila hai. Iske karan yahan kai samsyanye hai. Abhyaranya ghumne ke liye battery par chalnewali achhi vahan vyavstha, watch tower ki marammat, antargat talabon ki saaf-safai, rahne ki achhi vyavstha aadi muddon ki taraf dhyan dena jaroori hai, aisa Phansad Abhyaranya ke adhikari Rajgopal Bhosale ji ne bataya.
photo credit: MPSC Today