Mumbai, Oct 16: Kokan ke gramin bhag ke prashn, khaari jamin, Bandar, jetty, machhuwaron ke prashn, bhaari barish aur chakravat main huye nuksan ke bare main charcha karne ke liye kal mantralay main mahttvapurn baithak ka aayojan kiya gaya tha. Yah baithak gramvikas, bandare aur khaari jamin vikas mantra Abdul Sattar ke adhyakshta main aayojit kee gayi thi. Iss baithak main Raigad ki gaudian minister Aditi Tatkare, sansad Vinayak Raut aur dusare sansad Rajendra Gavit in ke sath hi kai lokpratinidhi upsthit the. Kokan ke sabhi zilon ke MLA ne aapne zilon ki samsya yaha batayi aur uspar charcha ki. Mantrimahoday ji ne yah sari samsya jaldi sulzane ke aadesh diye hai. Aur halah hi main huye tufani barish se huye nuksan ke panchname jaldi pure karne ke liye bhi kaha.
Kokan ki samsyaon ko lekar mantralay main baithak
