Mahila Surksha ke kayde aur sakt karne ki mang

mahila surksha

 

Borli-Mandla, Oct 17: Rajya main mahilaon ke upar ho rahe atyachar ki taraf dhyan dekar mahila surksha ke kayde aur sakt karne ki mang yahan ke Bhartiya Janta Paksha ki mahila aaghadi ne kee hai. Taluka abhyaksha Suchita Ghag ji ne iss baat ka aavedanpatr apne sahkariyon ke sath Murud ke nayab tahsildar Govind Kautambe ji ko diya.

Corona mahamari ke darmiya hospital aur care centre main mahilon ke atyachar ki kai ghatnaye samne aayi hai. Iske sath hi pure rajya main bhi mahilaon ki surksha ka prashn gambhir hota jar aha hai. Aur Mahavikas aaghadi iss baat par dhyan nahi de rahi hai, isska bhi jikr aavedanmain kiya gaya hai.

Iss vakt unke sath BJp taluka adhyaksha Mahendra Chaulkar, Sonali Bullu, Umesh Mali aadi log upsthit the.

photo credit: Panjab Kesari 

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks