Murud Aagar ke liye andolan ka Ishara

Murud, Nov 12: June main huye chakrawat ke baad yahan kea agar ki awstha bahut kharab ho chuki hai. Ab jab parytan phir se shuru ho gaya hai, bus stand aura agar ki dekhbhal aur marammat jaroori hai. Yah kam turant shuru nahi kiya to andolan shuru karne ka ishara yahan ke samajsevak Arvind Gaikar ji ne diya hai.

Karmchariyon ke swachhtagruh, yatriyon ka visharantigruh bahut kharab halat main hai. kahipar bhi paani ki suvidha nahi hai. Computers band hai. Pratikshalay ke chhat ud chuke hai aur deewaron main bhi darare pad gayi hai.  Is se na sirf pravasi balki ST karmchari  bhi pareshan ho chuke hai. Is bare main kai bar shikayat karne par bhi  koi karywahi nahi ho rahi hai. Yah dekh yahan ke samajsevak Arvind Gaikar ji ne aagar ki marammat ka turant shuru nahi kiya to janandolan chhedne ka ishara diya hai.

 

 

photo credit: wikimapia.com

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks