Zile ke sabhi parytan sthal huye khule, niymon ka palan aavshyak

 

 

 

Alibag, Nov 12: Covid-19 mahamari se bachak ke liye sabhi prakar ka parytan band kiya gaya tha. Ab lagbhag 9 mahinon ke baad unlock prakriya main zile ke aitehasik vaastu, kile, durg, smarak, sangrahalay aaj se parytan ke liye khule karne ka nirnay prashasan ne liye hai. Lekin Corona virus ka khatra abhi bhi barkarar hai aur uspar abhi tak koi ilaj uplabdh nahi hai, isliye savdhani bartani jaroor, i hai aur niymon ka palan karana aavshyak hai, aisa ziladhikari Nidhi Chaudhary ne bataya.

Prashasan ki taraf se diye gaye niyamon ka aur suchnaon ka ullanghan karnewalon ko Indian penal code 188, 269, 270, 271 aur aapatti vyavsthapan kanoon ke kalam 51 ke tahat kadi saja ho sakati hai. Yah jankari bhi ziladhikari ne dee hai.

 

photo credit: wikimedia commons

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks