Murud jald hi hoga Coronamukt: Tahsildar ka vishvas

Murud, Oct 18: Corona ka prabhav niyantrit karne ke liye rajya aur sthanik prashasan ne kai kade kadam uthaye the. Pure 6 mahino tak lockdown kiya gaya tha. Aur sabhi niymon ka palan bhi janta aur prashasan ne kiya tha. Uska achha parinam dekhne ko mil raha hai. jald hi Murud corona mukt ho jayega, aur agar aisa hota hai to Murud taluka pahla coronamukt taluka hoga, aisa vishvas yahan ke tahsildar Gaman Gavit ji jataya hai.

Murud main ab tak 431 corona positive rugn the. Un main se 23 logon ki mrutyu ho gayi hai. Baki thik hokar apne ghar chale gaye hai. Ab sirf 6 badhit rugn hai. Unka bhi ilaj chal raha hai. We thik hote hi, Murud Coronamukt ho jayega.

Iss ka shrey yahan ke nagrik, doctors, nurses, anganwadi sevika, police prashasan, swachhta karmchari aur niymoka palan karnewale har kisiko jata hai, aisa bhi unhone kaha.  

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks