Murud main Doctor ka sanman

 

Murud, Sept 10: Corona ka failav pure desh main badhta hi ja raha hai.  Aise main kai doctors apni jaan aur parivar ke bare na sochte huye samanya marijon ki dinrat seva kar rahe hai. Apna kam karte vakt unko kai samsyaonka samna bhi karan padata hai. Fir bhi wah datkar kam kar rahe hai. Aise main unke kaam ko dhyan main rakhkar unka sanman karana jimmedar nagrik ka kam hai. Yahi sab Murud ke grameen hospital main dekhne ko mila.

Yahan ke grameen rugnalay ke Dr. Ingale aur unki team ne yahan bahut achchha kam kiya hai. Apni aage ki padhai ke liye jab Dr. Ingale yah jagah chhodkar ja rahe hai to unka sanman kiya gaya.

Shri Arvind Raikar aur Shri Swapnil Chaulkar aur kuchh gaonwalon ne swechha se shal aur srifal dekar Dr. Ingale ka sanman kiya.   

Photo credit: Mi Murudkar Facebook 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks