Padmdurg Jagar 22 December ko hoga

 

Borli-Mandla: Murud ke aitehasik Padmdurg (Kasa) kilepar shan se manaya janewale Padmdurg Jagar iss saal sabhi niymonka palan karke 22 December ko manaya jayega. Yah iss utsav ka 12 va saal hai.

Corona ke sankat kal main anya thikanon se aanewale durgpremiyon ka iss saal nimantrit nahi kiya hai. Jisse iss utsav main bhid nahi hogi. Iss karykram main iss saal keval sthanik log hi upsthit rahenge.

Iss din (22 December ko) Murud Koliwada ke Radhakrishn mandir se Shivray ki palakhi niklegi, phir boat se hokar Padmdurg par pahunchegi. Kile ke andar Koteshwari devi ki paranparik roop se pooja hogi. Wahan Shivraj ka abhishek aur aarati ki jayegi. Talvarbaji, Dandpatta jaise Shivkalin khelon ka sadarikaran bhi hoga.

 

photo credit: eSakal.com

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks