Zile main chaprasi ke 900 pad rikt honge

चपरासी-985fcfa4

 

Raigad: Rajya main school ke chaprasi ke padon ko aage se nahi bhara jane ka nirnay rajya sarkar ne haal hi main liya hai. Pad rikt ho janepar contract par yah pad bharne ka suzav bhi kiya gaya tha. Iss nirnay ke karan zile main chaprasi ke 900 pad rikt honewale hai. Iss karan zile ke shikshaketar sanghtana kafi aakramak huyi hai. Sarkarne yah anyankarak nirnay turant radd karne ki mang unhone ki hai. Agar aisa nahi hua to January 1 , 2021 se koi shikshetar karmchari kam par nahi jayega, aisa ishara unhone diya hai.  

Sarkarne contract ke mandhan ke niymon ke anusar mahanagar palika kshetra main kam karnewale aur grameen bhag main kam karnewale chaprasi ke mandhan main kafi bada antar hai, iss baat ka bhi sanghtanon ne virodh kiya hai. Sarkar ka yah nirnay shiksha ka nijikaran karne ki or ek bada faisla hai, iss shabdon main virodh kiya hai.

photo credit: hindikunj.com. Images used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks