Pani ki samsya sulzane ke liye prashasan ki pahal

 

Alibag: Har saal paryapt barish ho jane ke baad bhi zile ke kai ilakon main pani ka gahara sankat rahata hai. Paani ki iss samsya ko sulzane ke liye zila prashasan ne pahal ki hai. Aur prashasan ne iss upkram main grampanchayat, samajik sanstha aur nagarikon ko bhi shamil hone ka aavahan kiya hai..

Raigad zile ki paani ki samsya sulzane ke liye vishesh yojnaye shuru kar rahe hai. Har ghar nal ka connection uplabdh karvana usi yojna ka bhag hai. Nal hone ke karan paani ka apvyay tal jayega. Paani ke strot majboot karne ka upkram bhi shuru kar diya hai. Naye strot bhi dhundhe ja rahe hai. Sath hi Ferrocement technology ka upyog karke kam kharch main paani jama karvana mumkin hai. ISs kam main nagrik, grampanchayat, sthanik sahkari sansthayon ki madad ki apeksha hai, aisa Raigad zila parishad ke Mukhya Karykari Adhikari Dr. Kiran Patil ji ne kaha.

photo credit: patrika-7d87980d

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks