Prashasan main samnvay ka abhav, sthanikon ka nuksan

wikipedia-16db17d0

 

Murud: Prasiddha aitihasik Janjira kile par char dinon ke baad bhi jalvahtuk band hai. Iss se na sirf parytak balki sthanik vyavsayik bhi pareshan hai. Iss se zila prashasan aur puratattva vibhag ke beech samnvay ka abhav saaf dikhayi de raha hai.

Janjira kila puratattva vibhag ne khula kiya hi nahi hai. Puratattva vibhag ne kila parytakon ke liye band karne ke liye zila prashasan ke aadesh mane the. Lekin ab wahi kila parytakon ke liye khula karne ki baat aayi to unko Dilli se aadesh chahiye. Iss se puratattva vibhag ka manmani kam samne aa raha hai. Kila phir se shuru hua to jalvahtuk shuru hogi aur tabhi aaspaas ke chhote-bade vyavsay bhi shuru honge. In sabhi vibhagone aapasi samnvay aur vishvas se kam karna chahiye, aisa Meritime Board ke adhikari Yashodhan Kulkarni ne bataya.

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks