Murud: Jaiv vividhta se bharpur Phansad abhayaranya main parytan badhane ke hetu vishesh upkram shuru karne ki aavshyakta hai, uske liye jyada koshish karne ke aadesh van adhikariyon ko yahan ki gaurdian minister aur Parytan rajyamantri Aditi Tatkare ji ne diye hai.
Unhone 11 Aktubar ko Phansad jakar abhayaranya ko bhent dee aur wahan ke adhikariyon se aur sthanik logon se baatchit bhi kee.
Sthanik bachat gat ke madad se parytan badhane ki koshish par unhone jor diya, hast-udyog aur yuvaon ko shamil kar naye upkram shuru karne ke bare main bhi unhon se charcha kee. Abhayaranya main bhi jyada se jyada informative boards lagakar aur thodi sajawat karke bhi parytak aakrshit ho sakte hai, iss bare main bhi charcha huyi.
Iss vakt unke sath Maharashtra Parytan Vikas mahamandal ke Aashutosh Salil, Dhananjay Savalkar, Prantadhikari Sharda Powar, Upvansanrakshak Dr. Bhanudas Pingale, Sahayyak Vansanrakshak Nandkumar Kupte, Tahsildar Gaman Gavit, Phansad Vankshretrapal R. B. Bhosale, U.D. Patil, G. B. Bangar, Arun Patil, Aatib Khatib, Mangesh Dandekar aur sthanik nagrik upsthit the.