Poshan Maah main kuposhan par janjagurti

orisspost-37f7417c

Mhasala, Sept 23: Deshbhar main Poshan Mah manaya jaa raha. Navjat shishu aur mata ke swasthya ko dhyan main rakhkar yah upkram Kendra aur rajya sarkar ki taraf se manaya jaa raha hai. Mhasala ki Durgwadi anganwadi main yah poshan mah manaya ja raha hai.

Iss upkram main navjat ke janm se lekar agle 1000 dinon tak kya savdhani baratani hai, uska poshan kaise karana hai, Covid mahamari ke kaal main kya karana hai, aise swasthya sambandhit prashnon ke baare main aur kuposhan ke baare main margdarshan kiya jaa raha hai.

Balvikas adhikari Vyankat Tarwade, Gatvikas adhikari Y.M. Prabhe unke margdarshan par yahan ki anganwadi sevikaon dwara mah manaya jaa raha hai.

 

photo credit: orissapost.com, used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks