Zile ke matsya utpadan main bhari giravat

Alibag, Sept 23: Covid 19 ki mahamari, lockdown, badhta hua pradushan aur dusare rajyase aanewale machhuaare in sabhi ka rajya ke matsya utpaadan par bura asar hua hai. Har saal zile se 50 se 60 hajar metric ton machhli utpadan hota hai. Lekin iss saal isme 17 hajar metric ton kam ho gaya hai. Iss ssal Arabi samundar main aaye teen chaktravat ne bhi machhalimaron ka bhari nuksan kar diya hai. Iss main diesel ke badhte daam, dusare rajyon se aaye huye machhuvare, aur fishing ki mehengi aur aadhunik taknik ke karan bhi machhli utpaadan par asar hua hai. Unki halat sudharne ke liye rajya sarknar se madad karane ki mang kee jaa rahi hai. Zile ki guardian minister Aditi Tatkare ne iss mamle main pura dhyan dene ka aur machhuaaron ki har prakar se madad karne ka aashvasn diya hai.

photo credit: Dainik Bhaskar, used only for representation

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks