Alibag: Har saal kisanon ke khate main 6000 jama karvane ki Kisan Sanman yojna bade shorgul ke sath pradhanmantri Narendra Modi ji ne shuru kit hi. Tab bahutone iss yojna ka swagat hi kiya tha. Lekin ab Raigad ke kai kisanon ko iss yojna ke liye apatra ghoshit kiya gaya hai. Aur bank main jama paise wapas kar diye jaye warna karywahi ki jayegi, aisa aadesh yahan ke kisanon ko diya gaya hai. Jis se kisan kafi naraj hai.
Kendra sarkarne yah yojna 2018 main shuru ki thi. Jinki jamin 2 hector se bhi kam hai, un kisanon ke khate main salana 6000 rupye teen kishton main diya janewale the. Iss yojna ke tahat Raigad ke 1 lakh, 4 hajar, 552 kisan labh utha rahe the. Lekin ab Krishi Ayukt Karyalay ne inmain se kai kisanon ko iss yojna ke liye apatra ghoshit kar diya hai. Unke naam se notice bhi bheja gaya hai.
Apatra kisanon se rakam vasool ki jayegi, aisa ziladhikari Nidhi Chaudhary ji ne bhi kaha hai. Wahi dusari or prashasan ke iss nirnay se yahan ke kisan bade naraj hai.