Alibag: Raigad zile main HIV badhit rugnon ki sankhya kam ho gayi hai. 2014-15 main 417 HIV sansargit rugn the, Navambar 2020 main yah sankhya 160 ho gayi hai. Ghatati sankhya ko dekhkar Raigad zila HIV mukt hone ka din door nahi hai, aisa hi lag raha hai.
Zila AIDS pratibandj evam Niyantran Samiti ki HIV-TB greater involvement of people living with HIV AIDS samiti ki baithak 15 December ko sampann huyi. Ziladhikari Nidhi Chaudhary iss baithak ki adhyaksha thi. Wahi yah jankari di gayi.
Zile main 2014-15 main 29 pregnant aurante HIV positive thi, 2020 main yahi ankada 20 hai. Prashasan ko AIDS ke failav ko rokhne main bahut badi saflata mili hai.
Iss baithak main zila surgeon Dr. Suhas Mane, Zila Arogya Adhikari Dr. Sudhakar More, Zila Kshayrog Adhikari Dr. Thokal, Sanjay Mane, N.H.M,Dr. Chetana Patil, Dr. Pandurang Shinde aur Dr. Deepak Gosavi ji ke sath kai adhikari aur karmchari upsthit the.