Rajpuri khadi ke parytan vikas ke liye prayatn

 

Murud, Oct 13: Sundar samudri kinara, abhayaranya, kile aur prachin guphanye hone ke bawjood Rajpuri khadi ka parisar parytan Kendra ke roop main viksit na hone durbhagyapurn hai aisa yahan ki guardian aur parytan rajyamantri Aditi Tatkare ji ne kaha. Yahan ke durlkshit kshetron ke baare main adhik jankari nikalkar yah ek parytank ka Kendra banvane ke hetu prastav tayyar karne ke aadesh unhone sthanik prashasan ko diye hai.

Iss kshetra ka parytan viksit na hone ki wajah se yaha berojgari hai aur log rojgar ke talsh main gaon chhodkar shaharon main behal rahte hai. Yah sthiti badlne ke liye yahan ki jaroorte dekhkar sthanik rojgar, payabhut suvidha, durlkshit kshetron ka vikas aadi muddon par dhaayn dene ki koshish kee jani chahiye aisa bhi unhone kaha.  

Rajpuri Khadi parisar ko hajaro varshon ka prachin itihas hai. Water sports, Van-parytan aur krishi parytan aise kai prakar yahan viksit ho sakte hai, uske liye uchit kadam uthane ka aashvasn bhi unhone diya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks