Tej barish ki wajah se zile main Red Alert

 

Alibag, Oct 14: Bharatiy Mausam Vibhag aur Mumbai aur Mantralay niyantran kaksha ki taraf se prapt jankari ke anusar 14 Aktubar se lekar 17 Aktubar tak pure rajya main aur visheshta Kokan main joron ki barish hone ka andaja hai. Nagrikon ko savdhani bartane ka aavahan ziladhikari karylay ki taraf se kiya gaya hai. Kal (15 Aktubar) Raigad zile main red alert ghoshit kiya gaya hai.

Machhuwaron ko samundar main jane se prashasan ne mana kar diya hai. In dinon main kadakati bijali ke sath tej hava main barish hone ke aasar hai, issliye nagrikon ko khuli jagah khade rahne se bhi mana kiya hai. Aur gharon main sukhi khane ki cheejen, battery, jaroori aushdhi aur pine ka paryapt paani sath rakhke ka aavahan kiya hai. Kisi bhi aapatti ke bare main Zila niyantra kaksha se sampark karne ka aavahan kiya gaya hai.  Adhik jankari ke liye diye gaye number par sampark kar sakte hai.

Phone number: 02141 222118/8275152363 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks