Murud, Sept 28: Murud shahar se keval do kilometer par samudri kanara hai. Yahan ke sundar aur saaf beach ki wajah se parytak hamesha aakrshit hote hai. Aur parytakon ke aaram aur khelne ki jagah thi yahan ka Suru (pine tree) ka ban.
Iss samudra kinare par jo patharon ki deewar hai, uski unchain bahut kam hai. Iss baar samdura ki bharati itan joron ki thi ki uske karan yahan ke bahut sare Suru ke ped gir chuke hai. Uska seedha asar beach ke soundary par pada hai. Ab bina in pedon se beach kafi khali khali dikh raha hai.
Yahan ke nagrikone Maharashtra Meritime Board ke adhikariyon se iss bhag ki unchain badhane ki mang ki hai jisse bharati ka pani andar tak aane se thodi rok mile.
photo credit: hotels in konkan, murud beach, used only for representation