Teen salonse Amboli Nahar ka kam thapp

 

Murud, Oct 27: Yahan ke Amboli bandh par shuru huye ddai aur baai taraf ke nahar ka kaam 2015 se bilkul band ho gaya hai. Issi karan yahan ke hajaron kisanon ko sirf dhaan ki fasal par hi gujara karna padta hai. Nahar ka paani uplabdh hone par dusri fasal ugayi ja sakati hai. Lekin abhi uske liye kisanon ko pratiksha karani pad rahi hai.

 

Amboli bandh 29 croce rupye kharch karke 2009 main bana hai. Iss bandh ki wajah se Murud aur aaspaas ke 13 gaon ki pani ki samsya sulaj gayi hai. Lekin bandh par ban rahe nahar kaam abhi bhi adhura hai. Nahar ki baayin taraf ke 7.10 km kaam main se 6.10 adhura hai to ddayin taraf ke2.64 km main se 1.64km kaam adhura hai. Yah kam pura hone se yahan ke kisanon ka bada fayda ho sakta hai, aisa gaonwale mante hai. 

photo credit:Ira Trips, used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks