Usroli, Oct 26: Peena kharab aur durgandyukt paani milne se yahan ke nagrik pareshan ho gaye hai aur unko apni swasthya ki chinta bhi ho rahi hai. Grampanchayat paani samsya sulzane ki poori koshish kar rahi hai.
Mazgaon, Usaroli, Nandgaon aur Vihoor gaon ke logon ko Vihoor dam se paani milta hai. Lekin pcihhle kuchh dinon se peela aur durgandyukt paani milne se yahan ke nagrik kafi pareshan ho chuke hai aur unke swasthya se sambandhit badi samsya khadi ho sakati hai.
Usaroli ke sarpanch Manish Nandgavkar ji ne kaha ki Grampanchayat paani ki tanko main TCL daalke paani saaf karke hi paane gaonwalon tak pahunchaya jata hai. Lekin yah kafi nahi hai. Dam se aanewala paani hi bahut kharab hai. Hum Zila Parishad se iss mamle main turant dhyan dekar sarhary karne ki mang karnewale hai. Isi silsile main hum Zila Parishad ki adhyaksha Yogita Pardhi se Mangalwar (27 Oct) ko milnewale hai, aisa bhi unhone bataya.
Iss jeevnavshyak mamle main prashasan ne jaldi hi dhyan dena jaroori hai, aisa nagrik kah rahe hai.
photo credit: Live Today, used only for representation