Mahad jaisi Durghatana Firse ho sakati hai

Raigad, Aug 27: Mahad main huyi durghatana se abhi bhi kai log aur unke parivar sadme main hai. Ghatiya construction ki wajah se karib 16 logon ne apni jaan gava dee hai. Lekin Mahad ki iss durghatna dusre shahron main bhi ho sakati hai.

Raigad main abhi bhi lagbhag 500 se jyada buildings rahne ke liye khatarnaak hai. Inmain se 36 bahut jyada aur 499 khatarnak hai. Inmain 10 imaraten sarkari hai aur baki sari private hai. Iss se saaf jahir hota hai ki imaret banvate vakt private contractors aur engineers niymonka palan nahi karte. Prashasan ki taraf se har saal barish ke mausam ke wakt yahan rahnewalon ko dhoke ka ishara dete huye dusre jagahon par jane ke liye kaha jata hai. Lekin koi thos karywadi nahi kee jati.   

Mahad ki iss durghatana ko dhyan main rakhakar zile ki sabhi nagarpalikaon ko khatarnak imarton ka survey karne ka aadesh diya hai. Un sabhi imartonka structural audit kiya jayega. Uske baad sarkar se charcha karke wahan rahnewale logon ke bare main nirnay liya jayega, aisa ziladhikari Nidhi Chaudhary ne kaha.

photo credit: NDRF

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks