Mangaon, Aug 28: Nijampur grampanchayat ne JTL naam kee corporate company ko apna plant band rakhne ki notice de dee hai. Nijampur grampanchayat ki had main aanewale Koste-Budruk gaon ke paas GTL company ka plant hai. Yah company apna sara dushit paani paas main bahnewali Kaal nadi main chhod rahi hai. Iss se nadi ka pine ka pani dushit ho raha hai. Nijampur ke sath hi aas-pados ke kai saare gaon yah paani peete hai. Un hajaro logon ki swasthya ko dhyan main rakhakar yah plant band karne ki notice grampanchayat ne dee hai.
Nijampur grampanchayat ke sarpanch Rajabhau Ranpise apne kai saare gaonwalon ke sath GTL company ko bhent dee. Aur company ke adhikariyon se dushit paani nadi main chhodne ki chhanbin kee. Jab tak chemical kee thik se dusari vyavstha nahi karte tab tak plant band rakhne ki jubani aur notice dekar likhit baat kee. Company ne bhi yah baat maan lee hai aur abhi plant kuchh dinon ke liye band hi rahnewala hai.